nasab ye hai ki wo dushman ko kam-nasab na kahe
ajab ye hai ki ye duniya use ajab na kahe
meri nigah junun mein ye baat bhul gai
ki kab kahe mere jazbaat aur kab na kahe
wo barhami ki jo ek dastan thi KHatm hui
use kaho ki wo us se wo baat ab na kahe
wo be-zaban nahin hai to kam-nazar hoga
jo chashm o lab tere dekhe magar ghazab na kahe
use bhi hai mere jine ki aarzu 'shahpar'
sukun hai ki ye ashaar be-sabab na kahe

Ghazal
Nasab ye hai ki wo dushman ko kam-nasab na kahe
Shehpar Rasool