narmi-e-baalish-e-par hum ko nahin bhati hai
dam-e-shamshir pe sar rakkhen to nind aati hai
kya buri KHu hai meri bhi ki ba-in dawa-e-aql
main bhi jata hun wahan jaan jahan jati hai
na-qubul itna hun murde ko mere baad-az-marg
gor mein rakkhen to miTTi bhi nahin khati hai
husn dekha hai magar hind ki taswiren ka
laila bazar mein shakl apni jo badlati hai
na bachega koi hargiz jo hai ruKH ki ye safa
na jiyega koi mutlaq jo ye KHush gati hai
KHair-salla se nasim-e-sahari ghar jawe
kar ke zikr-e-ruKH-e-gul kyun mujhe piTwati hai
sitam-baad-e-KHizan se jo koi gul ki kali
shaKH par KHushk ho rah jati hai murjhati hai
be-kasi apni ka aalam mujhe aa jae hai yaad
ki gareban mein mera sar yunhi jhukwati hai
'mushafi' ki koi ummid to bar la ya-rab!
muddaton se ye tere dar ka munajati hai
Ghazal
Narmi-e-baalish-e-par hum ko nahin bhati hai
Mushafi Ghulam Hamdani