اردو हिंदी
Narm resham si mulaem kisi maKHmal ki tarah | Shaahi Shayari
narm resham si mulaem kisi maKHmal ki tarah

Ghazal

Narm resham si mulaem kisi maKHmal ki tarah

Aghaz Buldhanwi

;

narm resham si mulaem kisi maKHmal ki tarah
sard raaton mein teri yaad hai kambal ki tarah

main zamane se ulajh sakta hun us ki KHatir
jo sajata hai mujhe aankh mein kajal ki tarah

koi sagar kahin pyasa jo nazar aae to
hum baraste hain wahin TuT ke baadal ki tarah

KHub-surat thi ye kashmir ki wadi jaisi
zindagi tere bina lagti hai chanmbal ki tarah

shahr ki aab-o-hawa ne mere bachche chhine
main akela hi raha ganw ke pipal ki tarah