narm faza ki karwaTen dil ko dukha ke rah gain
ThanDi hawaen bhi teri yaad dila ke rah gain
sham bhi thi dhuan dhuan husn bhi tha udas udas
dil ko kai kahaniyan yaad si aa ke rah gain
mujh ko KHarab kar gain nim-nigahiyan teri
mujh se hayat o maut bhi aankhen chura ke rah gain
husn-e-nazar-fareb mein kis ko kalam tha magar
teri adaen aaj to dil mein sama ke rah gain
tab kahin kuchh pata chala sidq-o-KHulus-e-husn ka
jab wo nigahen ishq se baaten bana ke rah gain
tere KHiram-e-naz se aaj wahan chaman khile
faslen bahaar ki jahan KHak uDa ke rah gain
puchh na un nigahon ki turfa karishma-saziyan
fitne sula ke rah gain fitne jaga ke rah gain
taron ki aankh bhi bhar aai meri sada-e-dard par
un ki nigahen bhi tera nam bata ke rah gain
uf ye zamin ki gardishen aah ye gham ki Thokaren
ye bhi to baKHt-e-KHufta ke shane hila ke rah gain
aur to ahl-e-dard kaun sambhaalta bhala
han teri shadmaniyan un ko rula ke rah gain
yaad kuchh aain is tarah bhuli hui kahaniyan
khoe hue dilon mein aaj dard uTha ke rah gain
saz-e-nashat-e-zindagi aaj laraz laraz uTha
kis ki nigahen ishq ka dard suna ke rah gain
tum nahin aae aur raat rah gai rah dekhti
taron ki mahfilen bhi aaj aankhen bichha ke rah gain
jhum ke phir chalin hawaen wajd mein aain phir fazaen
phir teri yaad ki ghaTaen sinon pe chha ke rah gain
qalb o nigah ki ye id uf ye maal-e-qurb-o-did
charKH ki gardishen tujhe mujh se chhupa ke rah gain
phir hain wahi udasiyan phir wahi suni kaenat
ahl-e-tarab ki mahfilen rang jama ke rah gain
kaun sukun de saka gham-zadagan-e-ishq ko
bhigti raaten bhi 'firaq' aag laga ke rah gain
Ghazal
Narm faza ki karwaTen dil ko dukha ke rah gain
Firaq Gorakhpuri