اردو हिंदी
Nargis pe to ilzam laga be-basari ka | Shaahi Shayari
nargis pe to ilzam laga be-basari ka

Ghazal

Nargis pe to ilzam laga be-basari ka

Hafeez Hoshiarpuri

;

nargis pe to ilzam laga be-basari ka
arbab-e-gulistan pe nahin kam-nazari ka

taufiq-e-rifaqat nahin un ko sar-e-manzil
raste mein jinhen pas raha ham-safari ka

ab KHanqah o madrasa o mai-kada hain ek
ek silsila hai qafila-e-be-KHabari ka

har naqsh hai aaina-e-nairang-e-tamasha
duniya hai ki hasil meri hairan-nazari ka

ab farsh se ta-arsh zabun-haal hai fitrat
ek marka dar-pesh hai azm-e-bashari ka

kab milti hai ye daulat-e-bedar kisi ko
aur main hun ki rona hai isi dida-wari ka

be-wasta-e-ishq bhi rang-e-ruKH-e-parwez
unwan hai farhad ki KHunin-jigari ka

aaKHir tere dar pe mujhe le aai mohabbat
dekha na gaya haal meri dar-badari ka

dil mein ho faqat tum hi tum aankhon pe na jao
aankhon ko to hai rog pareshan-nazari ka

be-pairwi-e-'mir' 'hafiz' apni rawish hai
hum par koi ilzam nahin kam-hunari ka