narghe mein ghaTaon ke raha hai na rahega
KHurshed mohabbat ka chhupa hai na chhupega
ho jate hain nakaam KHirad-mandon ke fitne
sar-e-ahl-e-junun ka na jhuka hai na jhukega
tum kyun ho pareshan ki taqdir ka likkha
duniya ke miTane se miTa hai na miTega
tarkash se takabbur ke jo itra ke chala hai
wo tir nishane pe laga hai na lagega
talim-o-hunar hi wo KHazana hai jo ab tak
daulat ke luTeron se luTa hai na luTega
ho jata hai fauran jo pasheman KHata par
nazron se azizon ki gira hai na girega
mansab jahan zalim ke asar mein ho wahan par
mazlum ko insaf mila hai na milega
hajat se ziyaada ki talab sab ko hai 'talib'
qismat se siwa phir bhi mila hai na milega
Ghazal
Narghe mein ghaTaon ke raha hai na rahega
Ayaz Ahmad Talib