naqshe usi ke dil mein hain ab tak khinche hue
wo daur-e-ishq tha ki baDe marke hue
itna to tha ki wo bhi musafir-nawaz the
majnun ke sath the jo bagule lage hue
aai hai us se pichhle pahar guftugu ki yaad
wo KHalwat-e-visal wo parde chhuTe hue
kyun ham-nafas chala hai tu un ke suragh mein
jis ishq-e-be-gharaz ke nishan hain miTe hue
ye mai-kada hai is mein koi qaht-e-mai nahin
chalte rahenge chand subu dam kiye hue
kal shab se kuchh KHayal mujhe but-kade ka hai
sunta hun ek charagh jala ratjage hue
meri wafa hai us ki udasi ka ek bab
muddat hui hai jis se mujhe ab mile hue
allah-re faiz-e-baada-parastan-e-pesh-rau
nikle zamin se shisha-e-mai kuchh dabe hue
main bhi to ek subh ka tara hun tez-rau
aap-apni raushni mein akele chale hue
Ghazal
Naqshe usi ke dil mein hain ab tak khinche hue
Aziz Hamid Madni