naqsh tha aur nam tha hi nahin
yani main itna aam tha hi nahin
KHwab se kaam tha wahan ki jahan
KHwab ka koi kaam tha hi nahin
sab KHabar karne walon par afsos
ye KHabar ka maqam tha hi nahin
tah-ba-tah intiqam tha sar-e-KHak
inhidam inhidam tha hi nahin
hum ne tauhin ki qayam kiya
is safar mein qayam tha hi nahin
ab to hai par hamare waqton mein
shisha-e-subh-o-sham tha hi nahin
wo to hum ne kaha ki tum bhi ho
warna koi nizam tha hi nahin
Ghazal
Naqsh tha aur nam tha hi nahin
Shaheen Abbas

