naqsh sare KHak ke hain sab hunar miTTi ka hai 
is dayar-e-rang-o-bu mein bast-o-dar miTTi ka hai 
kuchh to apni gardanen kaj hain hawa ke zor se 
aur kuchh apni tabiat mein asar miTTi ka hai 
chandni KHandan hai apne hujra-e-mahtab par 
aur main nazan hun is par mera ghar miTTi ka hai 
rahmaten barsa ke bhi abr-e-karam chhaTta nahin 
aise lagta hai ki saya charKH par miTTi ka hai 
KHak se uThte nahin chalti hawa ke sath hum 
ijz-e-KHatir par bahut gahra asar miTTi ka hai 
ek namuna hai kisi ki sanat-e-timsal ka 
ye jo khiDki hai sada ki ye jo ghar miTTi ka hai 
kyun na KHu-e-KHak se KHasta rahe meri ana 
pa-ba-gil hun aur KHamir-e-motabar miTTi ka hai
        Ghazal
Naqsh sare KHak ke hain sab hunar miTTi ka hai
Abbas Tabish

