naqsh pani pe banaya kyun tha
jab banaya to miTaya kyun tha
gae waqton ka hai ab rona kyun
aae waqton ko ganwaya kyun tha
baiTh jaana tha agar misl-e-ghubar
sar pe tufan uThaya kyun tha
meri manzil na kahin thi to mujhe
dasht-dar-dasht phiraya kyun tha
wo na hamdam tha na dam-saz koi
haal-e-dil us ko sunaya kyun tha
dur rahna tha jab us ko 'mohsin'
mere nazdik wo aaya kyun tha

Ghazal
Naqsh pani pe banaya kyun tha
Mohsin Zaidi