اردو हिंदी
Naqsh pani pe bana ho jaise | Shaahi Shayari
naqsh pani pe bana ho jaise

Ghazal

Naqsh pani pe bana ho jaise

Ameer Qazalbash

;

naqsh pani pe bana ho jaise
zindagi mauj-e-bala ho jaise

mujh se bach bach ke chali hai duniya
mere nazdik KHuda ho jaise

koi tahrir mukammal na hui
mujh se har lafz KHafa ho jaise

kis qadar shahr mein sannaTa hai
ab ke koi na bacha ho jaise

is tarah puj rahi hai duniya
koi mujh se bhi baDa ho jaise

rah milti hai andheron mein mujhe
koi masruf-e-dua ho jaise

mujh ko aksar ye hua hai mahsus
koi kuchh puchh raha ho jaise

ghar se is tarah nikal aae 'amir'
koi dushman na raha ho jaise