naqsh karta ram-o-raftar inan-gir ko main
kaisa chhankata hua chalta hun zanjir ko main
ghaib-o-ghaflat ka idhar jashn mana lun to chalun
abhi taKHir samajhta nahin taKHir ko main
KHamushi meri kuchh aisi hadaf aagah nahin
baat be-baat chala deta hun is tir ko main
satwan din magar achchha nahin guzra mera
chhe din ulTata raha parda-e-tamir ko main
mauj-e-KHun mujh se bas ab sham ki duri par hai
kitne din aur bacha sakta hun shamshir ko main
darmiyan mera ilaqa hai bataun na bataun
ek taswir ka dukh dusri taswir ko main
phir wo satr aati hai jab asal likhi jati hai
mujh ko tahrir miTa aati hai tahrir ko main
kahan le jaane ko thi panw ki zanjir mujhe
kahan le aaya magar panw ki zanjir ko main
nazm ho baiTha hun aahang-daron ke hathon
nazm karta hua ek nala-e-shab-gir ko main
Ghazal
Naqsh karta ram-o-raftar inan-gir ko main
Shaheen Abbas

