naqsh jab bhi tera ubhaara hai
KHwab ne KHwab ko sanwara hai
teri chahat teri wafaon ka
qarz hum ne kahan utara hai
mere jiwan ka aasman hai tu
meri qismat ka tu sitara hai
meri naw ki tu hi manzil hai
mere dariya ka tu kinara hai
chal paDenge 'owais' ji hum bhi
baadban ka agar ishaara hai

Ghazal
Naqsh jab bhi tera ubhaara hai
Owaisul Hassan Khan