naqsh guzre hue lamhon ke hain dil par kya kya
muD ke dekhun to nazar aate hain manzar kya kya
kitne chehron pe rahe aks meri hairat ke
mehrban mujh pe hue aaina-paikar kya kya
waqt kaTta raha mai-KHane ki raaton ki tarah
rahe gardish mein ye din raat ke saghar kya kya
chashm-e-KHuban ke ishaaron pe tha jina marna
roz bante the bigaDte the muqaddar kya kya
panw uThte the usi manzil-e-wahshat ki taraf
rah takte the jahan rah ke patthar kya kya
rahguzar dil ki na pal-bhar ko bhi sunsan hui
qafile gham ke guzarte rahe aksar kya kya
aazrana the meri wahshat-e-dil ke sab rang
sham se subh talak Dhalte the paikar kya kya
aur ab haal hai ye KHud se jo milta hun kabhi
khol deta hun shikayat ke daftar kya kya
Ghazal
Naqsh guzre hue lamhon ke hain dil par kya kya
Mushfiq Khwaja

