naqsh-e-yaqin tera wajud-e-wahm bujha guman bujha
kar-e-habib ke tufail rauzan-e-raegan bujha
fard-e-siyah ko meri nok-e-sinan pe lae the
un ki nigah paD gai arsa-e-imtihan bujha
mast-rawi ke darmiyan kaun qadam qadam gine
mishal-e-dil kahan jali shoala-e-jaan kahan bujha
mere junun ka silsila marhala-war ho gaya
pahle zamin bujh gai baad mein aasman bujha
razm-e-gah-e-hayat mein main na utar saka kabhi
ishq-e-zamana-KHez mein sara yahan wahan bujha
shauq ke dasht kho gae shahr sarab ho gae
barish-e-zar hui bahut halqa-e-tishnagan bujha
'haqqi'-e-dil-girafta ke bas mein na jaane kab nahin
hijr mein shad-kaam tha wasl ke darmiyan bujha
Ghazal
Naqsh-e-yaqin tera wajud-e-wahm bujha guman bujha
Abul Hasanat Haqqi