naqsh-e-qadam hua hun mohabbat ki rah ka
kya dil-kusha makan hai meri sajda-gah ka
garmi sin aaftab-e-qayamat ki kyun darun
saya hai mujh kun sarw-e-qayamat-panah ka
nasur ho ki roz-e-qayamat talak bahe
jis ke jigar mein tir lage tujh nigah ka
piw ka jamal dekh hua chaak chaak dil
jiyun ki katan pe aks paDe nur-e-mah ka
Dore nahin hain surKH teri chashm-e-mast mein
shayad chaDha hai KHun kisi be-gunah ka
dil tujh birah ki aag sin kyunkar nikal sake
shoala sen kya chalega kaho barg kah ka
sumbul hai jiyun ki jalwa-numa juebar par
aankhon mein meri aks do-zulf-e-siyah ka
mahtab-ru ke ruKH pe siyah KHat nahin 'siraj'
ja kar khala hua hai mere dud aah ka
Ghazal
Naqsh-e-qadam hua hun mohabbat ki rah ka
Siraj Aurangabadi