naqsh-e-pa us ke rasta us ka
muD ke dekha to kuchh na tha us ka
mubtala kar gaya azabon mein
ek kamzor faisla us ka
iKHtiyaraat kam na the mere
main ne chaha nahin bura us ka
kaam to aur hi kisi ka tha
nam bad-nam ho gaya us ka
log jis zahr se halak hue
kitna miTha tha zaiqa us ka
jo meri haar par bahut KHush tha
ab hai KHud se muqabla us ka
rah ki zulmaton se manzil tak
ek ujala hai hausla us ka
kaun jaane wo kyun bhaTakta raha
us ko to yaad tha pata us ka
us ke qatil baDi aqidat se
pujte hain mujassama us ka
toD kar mujh se rishta-e-ummid
kitna nuqsan ho gaya us ka
ghalati ho gai samajhne mein
chahta tha main faeda us ka
Ghazal
Naqsh-e-pa uske rasta us ka
Nusrat Gwaliari