naqsh dil par kaisi kaisi suraton ka rah gaya
kitni lahren ham-safar thin phir bhi pyasa rah gaya
kaisi kaisi KHwahishen mujh se juda hoti gain
kis qadar aabaad tha aur kitna tanha rah gaya
DhunDne nikla tha aawazon ki basti mein use
soch kar viran guzargahon pe baiTha rah gaya
us se milna yaad hai mil kar bichhaDna yaad hai
kya bata sakta hun kya jata raha kya rah gaya
main ye kahta hun ki har ruKH se basar ki zindagi
zindagi kahti hai har pahlu adhura rah gaya
ahd-e-rafta ki khudai kis qadar mahngi paDi
jis jagah unchi imarat thi gaDha sa rah gaya
sirf itni hai 'muzaffar' apni rudad-e-hayat
main zamane ko zamana mujh ko takta rah gaya

Ghazal
Naqsh dil par kaisi kaisi suraton ka rah gaya
Muzaffar Warsi