اردو हिंदी
Naqsh-bar-ab ho gaya hun main | Shaahi Shayari
naqsh-bar-ab ho gaya hun main

Ghazal

Naqsh-bar-ab ho gaya hun main

Ejaz Rahmani

;

naqsh-bar-ab ho gaya hun main
kitna kamyab ho gaya hun main

jhurriyan kah rahi hain chehre ki
KHushk talab ho gaya hun main

kya karunga main ab KHushi le kar
gham se sairab ho gaya hun main

yaad rakhta nahin mujhe koi
arsa-e-KHwab ho gaya hun main

is qadar bar-e-gham uThaya hai
jhuk ke mehrab ho gaya hun main

ek masiha ki mehrbani se
jam-e-zahrab ho gaya hun main

KHushk aansu hue hain jis din se
dasht-e-be-ab ho gaya hun main

hai ye ehsan jabr-e-duniya ka
saKHt aasab ho gaya hun main

us ne jis din se chhu liya mujh ko
rashk-e-mahtab ho gaya hun main

KHud hi 'ejaz' apna dushman hun
sirf ahbab ho gaya hun main