naqsh aaKHir aap apna hadisa ho jaega 
aur tai wahm-o-yaqin ka marhala ho jaega 
gunj uTThenge dar-o-diwar apne karb se 
lafz jo tishna hai mani-ashna ho jaega 
jism bhi pighlenge sae bhi na Thahrenge kahin 
jaane kab ye sabz manzar bhi hawa ho jaega 
log sab us ki kahani jaan lenge harf harf 
aur wo KHush-posh khul kar be-rida ho jaega 
peD uglenge syahi ka samundar dekhna 
mausam-e-KHush-rang 'muztar' zaKHm-e-pa ho jaega
        Ghazal
Naqsh aaKHir aap apna hadisa ho jaega
Farooq muztar

