naqqad apne aap ka be-lag aisa kaun hai
hona mera ek wahm hai dekhun ye kahta kaun hai
wo aaftab-e-husn hai jalwe luTae jaega
us ko ab is se kya gharaz mushtaq kitna kaun hai
wahdat hai ye bhi didani main hun nazar wo raushni
go ye girah khulti nahin aaina kis ka kaun hai
main apne gumbad ka makin saya sa dekha Dar gaya
ab kya bitaun kya suna jab main ne puchha kaun hai
bas ek hawa ka pher hai wo bhi hawa ho jaega
main sochta rah jaunga mujh mein ye mujh sa kaun hai
meri nazar jis par paDi ek rabton ka Dher tha
phir wo jo apne aap ko kahta hai tanha kaun hai
ab fikr is ki kijiye duniya rahegi ya nahin
ab is ko jaane dijiye duniya mein kaisa kaun hai
tah ki lagan ek Dhong hai bas tairna aata nahin
tah karne wala sath ko ye shaKHs hota kaun hai
ye bazm-e-danish hai 'muhib' taswir-e-nafs-e-mutmain
is bazm mein chun-o-chara shaer ki sunta kaun hai
Ghazal
Naqqad apne aap ka be-lag aisa kaun hai
Muhib Aarfi

