naqd-e-dil-o-jaan us ki KHatir rahn-e-jam karo
'mir' ke baada-e-gham-KHurda ko mai-KHwaron mein aam karo
qashqa khincho dair mein baiTho pairwi-e-asnam karo
kesh-e-barahman ko apnao jurm-e-wafa ko aam karo
KHwah koi bohtan tarasho ya aaed ilzam karo
tark-e-talluq se pahle kuchh aur hamein bad-nam karo
saz-e-shikast-e-dil ki qimat kaun chukane aaega
giton ki dukan baDhao naghmon ko nilam karo
ek KHayal-e-KHam hai mana is ki tamanna is ka shauq
umr-e-KHizr mayassar ho to sirf KHayal-e-KHam karo
nagri nagri phire musafir basti basti chhani KHak
Tuk us zulf ke sae mein bhi koi ghaDi aaram karo
jin ke dam se ghurbat mein bhi bazm-e-tamanna raushan hai
pyar un sari mah-washon ko 'ishqi' nam-ba-nam karo
Ghazal
Naqd-e-dil-o-jaan uski KHatir rahn-e-jam karo
Shahid Ishqi

