naqab us ne ruKH-e-husn-e-zar pe Dal diya
ki jaise shab ka andhera sahar pe Dal diya
samaaten huin pur-shauq hadson ke liye
zara sa rang-e-bayan jab KHabar pe Dal diya
tamam us ne mahasin mein aib DhunD liye
jo bar-e-naqd-o-nazar dida-war pe Dal diya
ab is ko nafa kahin ya KHasara-e-ulfat
jo dagh us ne dil-e-mo'tabar pe Dal diya
qarib o dur yahan ham-safar nahin koi
teri talab ne ye kis rahguzar pe Dal diya
husul-e-manzil-e-jaanan se hath dho lenge
kuchh aur bojh jo pa-e-safar pe Dal diya
jo ham-azab tha us ki hi chhanw mein aa kar
KHud apni dhup ka lashkar shajar pe Dal diya
bhaTak raha tha jo asrar-e-fan ki wadi mein
uruj de ke faraaz-e-hunar pe Dal diya
be-e'tidal the KHud un ke KHatt-o-KHal 'zafar'
har ittiham magar shishagar pe Dal diya
Ghazal
Naqab usne ruKH-e-husn-e-zar pe Dal diya
Zafar Moradabadi