اردو हिंदी
Naqab-e-shab mein chhup kar kis ki yaad aai samajhte hain | Shaahi Shayari
naqab-e-shab mein chhup kar kis ki yaad aai samajhte hain

Ghazal

Naqab-e-shab mein chhup kar kis ki yaad aai samajhte hain

Ravish Siddiqi

;

naqab-e-shab mein chhup kar kis ki yaad aai samajhte hain
ishaare hum tere ai sham-e-tanhai samajhte hain

na samjhen baat waiz ki hum itne bhi nahin nadan
kahan tak hai bisat-e-aql-o-danai samajhte hain

tawajjoh phir tawajjoh hai magar hum tere diwane
taghaful ko bhi ek andaz-e-ranani samajhte hain

hamein na-ashna samjho na rasm-o-rah-e-manzil se
kahan le ja raha hai zauq-e-ruswai samajhte hain

hum aise sar-phiron ko kaam kya hai marg o hasti se
ye sab hai shoKHi-e-naz-e-masihai samajhte hain

hum ai KHalwat-nashin aaKHir mein tere dekhne wale
ye kyun hai ehtimam-e-mahfil-arai samajhte hain

rida-e-paki-o-taqwa ki azmat mein to kya shak hai
'rawish' hum to ghubar-e-ku-e-ruswai samajhte hain