naqab-e-ruKH uTha kar husn jab jalwa-figan hoga
na puchho kya qayamat-KHez rang-e-anjuman hoga
na gul hanste na kaliyan muskuraatin phir bahaaran mein
KHabar hoti agar un ko KHizan-KHurda chaman hoga
ghariq-e-bahr hona aadmi ke haq mein behtar hai
na mamnun-e-zamin hoga na muhtaj-e-kafan hoga
jafa Dhate rahenge bas yunhi din-raat dar-parda
samajh baiThe hain wo badnam to charKH-e-kuhan hoga
safar mein bhi musafir ke bahalne ko ba-KHamoshi
kabhi ahbab ka qissa kabhi zikr-e-watan hoga
abhi to patte patte par bahaaren TuTi paDtin hain
KHuda jaane hamare baad kya rang-e-chaman hoga
ajal jab chhin legi aadmi se tab-e-goyai
sukut-e-der-pa honTon pe phir ja-e-suKHan hoga
kise malum tha yun dil ki himmat sath chhoDegi
fana KHud apne teshe se bil-aKHir kohkan hoga
KHuda ke ghar bhi yun to be-talab jata nahin koi
bulaoge to han 'rifat' sharik-e-anjuman hoga
Ghazal
Naqab-e-ruKH uTha kar husn jab jalwa-figan hoga
Rifat Sethi