naqab-e-husn-e-do-alam uThai jati hai
mujhi ko meri tajalli dikhai jati hai
qadam qadam meri himmat baDhai jati hai
nafas nafas teri aahaT si pai jati hai
wo ek nazar jo ba-mushkil uThai jati hai
wahi nazar rag-o-pai mein samai jati hai
sukun hai maut yahan zauq-e-jushtuju ke liye
ye tishnagi wo nahin jo bujhai jati hai
KHuda wo dard-e-mohabbat har ek ko baKHshe
ki jis mein ruh ki taskin bhi pai jati hai
wo mai-kada hai teri anjuman KHuda rakkhe
jahan KHayal se pahle pilai jati hai
tere huzur ye kya wardat-e-qalb hai aaj
ki jaise chand pe badli si chhai jati hai
tujhe KHabar ho to itni na fursat-e-gham de
ki teri yaad bhi aksar satai jati hai
wo chiz kahte hain firdaus-e-gum-shuda jis ko
kabhi kabhi teri aankhon mein pai jati hai
qarib manzil-e-aKHir hai al-firaq 'jigar'
safar tamam hua nind aai jati hai
Ghazal
Naqab-e-husn-e-do-alam uThai jati hai
Jigar Moradabadi