naqab chehre se mere haTa rahi hai ghazal
hisar-e-zat se bahar bula rahi hai ghazal
ye kaun hai jo bahut be-qarar hai mujh mein
ye kis ke qurb mein yun kasmasa rahi hai ghazal
wo KHol jis mein muqayyad hun TuTne ko hai
mujhe bahaar ka muzhda suna rahi hai ghazal
wajud ka hua jata hai falsafa pani
rumuz-e-zat se parde uTha rahi hai ghazal
jo mo'tariz the hue wo bhi mo'tarif us ke
har ek daur mein jadu-numa rahi hai ghazal
saha hai KHud pe har ek tir tanz ka hans kar
piya hai zahr magar muskura rahi hai ghazal
hai qadr-dan ko apne ye wajh-e-sarshaari
ye hasidon ke dilon ko jala rahi hai ghazal
ki sirf gul hi nahin KHar se bhi nisbat hai
ye aur baat ki baad-e-saba rahi hai ghazal
kare hai us pe riyazat ki us ka husn khule
'obaid' ke liye misl-e-hina rahi hai ghazal
tha ek shaghl mera meri ye ghazal-goi
'obaid' zat ko ab apni bha rahi hai ghazal
Ghazal
Naqab chehre se mere haTa rahi hai ghazal
Obaidur Rahman