nanha sa diya hai ki tah-e-ab hai raushan
bujhti hui aankhon mein koi KHwab hai raushan
sunsan jazire mein chamakta hua tara
dil hai ki koi kashti-e-shab-tab hai raushan
dahshat ke farishte hain fasilon pe hawa ki
aur chaaron taraf shahr ke sailab hai raushan
main Dubta jata hun teri mauj-e-badan mein
yun raqs mein kirnen hain ki gardab hai raushan
han jism ke is qarya-e-be-nur ke andar
ab bhi wo tere lams ka mahtab hai raushan
main DhunDhta phirta hun jise baam-e-falak par
wo chand sar-e-halqa-e-ahbab hai raushan
'shahid' ki jo wo KHak-nashin mahram-e-jaan hai
sajdon se abhi us ke ye mehrab hai raushan
Ghazal
Nanha sa diya hai ki tah-e-ab hai raushan
Shahid Kamal

