nange panw ki aahaT thi ya narm hawa ka jhonka tha
pichhle pahar ke sannaTe mein dil diwana chaunka tha
panchon hawas ki bazm saja kar us ki yaad mein baiThe the
hum se puchho shab-e-judai kab kab patta khaDka tha
aur bhi the us ki mahfil mein baaten sab se hoti thin
sab ki aankh bacha kar us ne hum ko tanha dekha tha
duniya to duniya hi Thahri rang badalti rahti hai
dukh to ye hai dhyan kisi ka ghaTta baDhta saya tha
kaisa shikwa kaisi shikayat dil mein yahi socho 'jawed'
tum hi gae the us ki gali mein wo kab tum tak aaya tha
Ghazal
Nange panw ki aahaT thi ya narm hawa ka jhonka tha
Abdullah Javed