nang-e-ehsas hai andoh-e-gharib-ul-watani
kam nahin gard-e-rah-e-shauq ki saya-fagani
aadmi hota hai KHud apne hi teshe ka shikar
koi aasan nahin mashghala-e-koh-kani
partaw-e-ruKH se tere kis ko nahin hairani
ashk-e-aina hui hai teri simin-badni
sumbulistan hain tere gesu-e-pur-KHam ke asir
husn-e-qamat hai tera nazish-e-sarw-e-chamni
apne jame mein samati nahin phulon ki bahaar
dil mein kanTon ke khaTakti hai ye gul-pairahani
dekh meri nigah-e-shauq ki manzar-tabi
mahw-e-hairat hai tere husn ki aaina-tani
kya koi gosh-bar-awaz hua hai 'asif'
lab-kushai pe hai majbur meri kam-suKHani
Ghazal
Nang-e-ehsas hai andoh-e-gharib-ul-watani
Sulaiman Aasif