اردو हिंदी
Nang dhaDang malang tarang mein aaega jo wahi kaam karenge | Shaahi Shayari
nang dhaDang malang tarang mein aaega jo wahi kaam karenge

Ghazal

Nang dhaDang malang tarang mein aaega jo wahi kaam karenge

Farhat Ehsas

;

nang dhaDang malang tarang mein aaega jo wahi kaam karenge
kufr karenge jo aaya ji ji chaha to islam karenge

raste bhar us rup ki dhup mein jaan khapaenge maut ki had tak
chalte samay phir us ki zulf ki chhanw mein bisram karenge

dekho tum apne kachche dar-o-diwar ko pakka mat karwana
shahr mein jab bhi aaenge hum to tumhaare ghar hi qayam karenge

aaj hamare saron par hai ye suraj par kal KHak mein hoga
hum ne to bas aawaz laga di baqi kaam awam karenge

hum ko ek bahut hi baDi sachchai ko afsana karna hai
KHub piyenge sharab-e-wahm aur KHub KHayal-e-KHam karenge

ishq hi puri tarah kar len to samjho koi jihad kiya hai
ye 'farhat-ehsas' azal ke kahil kya koi kaam karenge