namkin harf hai mera ye fasih
kullo shain minal-malih malih
wa qina rabbana azabannar
shama ki hai hamesha ye tasbih
laminal-maa kullo shain hay
sharb-e-mai se hua hai mujh ko sahih
mislahu laisa wahidun gharra
mah-e-kanan bhi tha agarche fasih
ji mein aawe so kah tu 'taban' ko
laisa min fika shatamna be-qabih

Ghazal
Namkin harf hai mera ye fasih
Taban Abdul Hai