اردو हिंदी
Nami thi aankh mein lekin ek etimad bhi tha | Shaahi Shayari
nami thi aankh mein lekin ek etimad bhi tha

Ghazal

Nami thi aankh mein lekin ek etimad bhi tha

Narjis Afroz Zaidi

;

nami thi aankh mein lekin ek e'timad bhi tha
mujhe to hausla jine ka us ke baad bhi tha

bujhe hue dar-o-diwar jaante honge
kabhi yahan tere jalwon ka iniqad bhi tha

wo ek ism-e-tawalat jo shab ki kaT sake
wo ism aalam-e-wahshat mein mujh ko yaad bhi tha

KHizan-nasib sahi aaj shaKH-sar-e-hayat
hawa ka aana kabhi sehn-e-dil mein sad bhi tha

sitara dekh ke nikli thi main safar ke liye
magar sitare ko taqdir se inad bhi tha