اردو हिंदी
Namaz kaisi kahan ka roza abhi main shaghl-e-sharab mein hun | Shaahi Shayari
namaz kaisi kahan ka roza abhi main shaghl-e-sharab mein hun

Ghazal

Namaz kaisi kahan ka roza abhi main shaghl-e-sharab mein hun

Aagha Akbarabadi

;

namaz kaisi kahan ka roza abhi main shaghl-e-sharab mein hun
KHuda ki yaad aae kis tarah se buton ke qahr-o-itab mein hun

sharab ka shaghl ho raha hai baghal mein pata hun main kisi ko
main jagta hun ki so raha hun KHayal mein hun ki KHwab mein hun

na chheD is waqt mujh ko zahid nahin ye mauqa hai guftugu ka
sawar jata hai wo sharabi main hazir us ki rikab mein hun

kabhi sharabi kabhi namazi kabhi hun main rind-gah zahid
KHuda ka Dar hai buton ka khaTka ajab tarah ke azab mein hun

qayamat aane ka KHauf kaisa taraddud-o-fikr kyun hai 'agha'
hisab kya koi mujh se lega bata to main kis hisab mein hun