nam aankhon mein kya kar lega ghussa dekhenge
os ke upar chingari ka lahja dekhenge
shishe ke bazar se le aaenge kuchh chehre
wahi pahan kar hum ghar ka bhi shisha dekhenge
kitni dur talak jaegi zabt ki ye kashti
kitna gahra hai is dard ka dariya dekhenge
dariya ke pichhe pichhe hum sahra tak aae
kis manzil ko le jae ab sahra dekhenge
ruThne wali KHat paDh kar fauran hi lauT aain
hum ne likha tha sale lagi hai kapDa dekhenge
kuchh din mein dil ka kho jaana bilkul mumkin hai
kahta hai hum baDe hue ab duniya dekhenge
Ghazal
Nam aankhon mein kya kar lega ghussa dekhenge
Vijay Sharma Arsh