اردو हिंदी
Nako nasihat karo azizan niga hai hamna muhan sun mita | Shaahi Shayari
nako nasihat karo azizan niga hai hamna muhan sun mita

Ghazal

Nako nasihat karo azizan niga hai hamna muhan sun mita

Alimullah

;

nako nasihat karo azizan niga hai hamna muhan sun mita
taja hun main rit sab jahan ki jidhan piya sun prit kita

sanam ki ulfat mein dil apas ka rakha tha kar chaak chaak jun gul
kaho rafu-gar jahan mein aisa kahan jo dil ka ye chaak sita

jahan ke sayyaad ke shikaran tamam mar kar shikar hote
jo dam-e-ulfat mein aa gira so mua nahin hai hua hai jita

abas hai ye fikr ai azizan lage ho rozon ki tum fikar mein
ye zindagani hai do dinan ki uDe hai sar par ajal ka chita

karim tera ye did mujh ko sada hua hai ghiza ye ruh ka
'alim' ke tain to zindagi se nahin hai parwa charan ka hita