naKHl lale ja jab zamin se uTha
shoala ek do wajab zamin se uTha
tu jo kal KHak-e-kushtagan se gaya
shor us dam ajab zamin se uTha
baiThe baiThe jo ho gaya wo khaDa
ek sitara sa shab zamin se uTha
qad wo buTa sa dekh kahti hai KHalq
ye to pauda ajab zamin se uTha
tishna sahba-e-wasl ka teri
hashr ko KHushk-lab zamin se uTha
baiTh kar uTh gaya jahan wo shoKH
fitna wan jab na tab zamin se uTha
sochta kya hai dekh dekh use
bin uThae wo kab zamin se uTha
thi qaza yunhi tere kushte ki
lash ko us ki ab zamin se uTha
gul nahin 'mushafi' ka dil hai ye
us ko ai be-adab zamin se uTha
Ghazal
NaKHl lale ja jab zamin se uTha
Mushafi Ghulam Hamdani