naKHl-e-umid-o-arzu be-barg-o-bar hai
nakaami-e-hayat pe dil sharmsar hai
daman-e-sabr hijr mein go tar-tar hai
wade ka un ke phir bhi hamein eatibar hai
fikr-e-jahan mujhe na gham-e-rozgar hai
phir bhi na jaane kis liye dil be-qarar hai
sham-e-firaq shiddat-e-gham be-shumar hai
mushtaq-e-did aankh bhi ab ashk-bar hai
gulshan mein un ko dekh ke mahw-e-KHiram-e-naz
samjhi nigah-e-shauq ki raqs-e-bahaar hai
yun to hazar bar use aazma chuke
phir eatibar-e-wada-e-ghaflat-shiar hai
muddat hui hai qat-e-talluq kiye 'nadim'
us jaan-e-intizar ka phir intizar hai

Ghazal
NaKHl-e-umid-o-arzu be-barg-o-bar hai
Raj Kumar Soori Nadeem