اردو हिंदी
Nakaami-e-sad-hasrat-e-parina se Dar jaen | Shaahi Shayari
nakaami-e-sad-hasrat-e-parina se Dar jaen

Ghazal

Nakaami-e-sad-hasrat-e-parina se Dar jaen

Zuhoor-ul-Islam Javed

;

nakaami-e-sad-hasrat-e-parina ke Dar jaen
kuchh rose to aaram se apne bhi guzar jaen

ai dil-zadagan ab ke bhi is fasl-e-junun mein
phir bahr-e-KHirad nok-e-sinan kitne hi sar jaen

ye rishta-e-jaan tar-e-rag-e-jaan ki manind
TuTe jo kabhi KHak mein hum KHak-basar jaen

hai harf-shanasi kisi aaine ki manind
patthar koi paD jae to sab harf bikhar jaen

parwarda-e-shab ko hai kahan jurat-e-izhaar
Darte hain ki shanon se kahin sar na utar jaen

is qarya-e-yaKH-basta mein ai shoala-sifat aa
jazbaat na ajsam ki manind ThiThar jaen

ye KHirqa-e-darweshi hamein ras hai 'jawed'
dastar-o-qaba pahan len hum log to mar jaen