اردو हिंदी
Nairang-e-jahan rang-e-tamasha hai to kya hai | Shaahi Shayari
nairang-e-jahan rang-e-tamasha hai to kya hai

Ghazal

Nairang-e-jahan rang-e-tamasha hai to kya hai

Siddique Mujibi

;

nairang-e-jahan rang-e-tamasha hai to kya hai
har ek qadam aag ka dariya hai to kya hai

hum dil ke musahib hain har ek baat pe raazi
ek moD ghalat rah mein aaya hai to kya hai

sau rang ke dariyaon ka pani hai nazar mein
ab baadiya-paimai-e-sahra hai to kya hai

ek dhund hai manzar se ziyaada pas-e-manzar
ek wahm par dil wala-o-shaida hai to kya hai

ji len ki na ji pae ye hasrat to na hogi
qismat mein fana harf-e-nawishta hai to kya hai