nai zamin naya aasman talash karo
jo sath-e-ab pe ho wo makan talash karo
nagar mein dhup ki tezi jalae deti hai
nagar se dur koi saeban talash karo
ThiThur gaya hai badan sab ka barf-bari se
dahakta kholta aatish-fishan talash karo
har ek lafz ke mani bahut hi uthle hain
ek aisa lafz jo ho be-karan talash karo
bahut dinon se koi hadisa nahin guzra
kisi ke taza lahu ka nishan talash karo
har ek ke raaz se waqif ho kah rahe hain sabhi
mere badan mein koi dastan talash karo

Ghazal
Nai zamin naya aasman talash karo
Asad Badayuni