nai sahar hai ye logo naya sawera hai
tulua ho chuka suraj magar andhera hai
KHuda hi jaane ye dil kab KHuda ka ghar hoga
abhi to is mein butan-e-hawas ka Dera hai
abhi na de mujhe aawaz ai gham-e-jaanan
abhi to shahr-e-wafa mein baDa andhera hai
na saeban na aangan na chhat na raushan-dan
aur is pe sab se laDai ki ghar ye mera hai
ye dar-o-gir ki duniya mein kahna mushkil hai
ki kaun is mein luTa kaun yan luTera hai
ye sare jhagDe hain bas ek do pahar ke liye
ki nur-e-mehr na mera hai aur na tera hai
wafa nisar ho us ki wafa-shanasi par
hazar gardishon ke baad bhi jo mera hai
Ghazal
Nai sahar hai ye logo naya sawera hai
Vafa Malikpuri