nai mushkil koi darpesh har mushkil se aage hai
safar diwangi ka ishq ki manzil se aage hai
mujhe kuchh der mein phir ye kinara chhoD dena hai
main kashti hun safar mera har ek sahil se aage hai
khaDe hain sans roke sab tamasha dekhne wale
ki ab mazlum bas kuchh hi qadam qatil se aage hai
mujhe ab ruh tak ek dard sa mahsus hota hai
to kya wusat mere ehsas ki is dil se aage hai
mere is kar-e-be-masraf ko kya samjhegi ye duniya
meri ye sai-e-la-hasil har ek hasil se aage hai
ye aksar 'shad' rakhti hai mujhe KHush rang lamhon se
meri tanhai teri raunaq-e-mahfil se aage hai
Ghazal
Nai mushkil koi darpesh har mushkil se aage hai
Khushbir Singh Shaad