nai hawa mein koi rang-e-kaenat mein gum
hua hai sara zamana tasannuat mein gum
gale ka haar kahin ban na jae mahrumi
na hona bhul ke husn-e-takallufat mein gum
kisi bhi shaKHs pe us ko taras nahin aata
amir-e-shahr hua hai ye kin sifat mein gum
har ek gul ko meri dastaras se dur kiya
meri nazar hai adu ki nawazishat mein gum
bashar bashar ne muqaffal kiya hai bab-e-amal
har ek zehn hua kaisi nafsiyat mein gum
kahin bhi rah-numa ab nazar nahin aata
main kya bataun ki hun kaun si jihat mein gum
husul-e-ilm mera muddaa hai ai 'abrar'
isi liye hun kitabon mein aur lughat mein gum
Ghazal
Nai hawa mein koi rang-e-kaenat mein gum
Abrar Kiratpuri