اردو
Nai had-bandiyan hone ko hain aain-e-gulshan mein | Shaahi Shayari
nai had-bandiyan hone ko hain aain-e-gulshan mein

Ghazal

Nai had-bandiyan hone ko hain aain-e-gulshan mein

Ahmaq Phaphoondvi

;

nai had-bandiyan hone ko hain aain-e-gulshan mein
kaho bulbul se ab anDe na rakkhe aashiyane mein

pachahattar lakh ek be-kar mad mein sarf kar denge
reaya ke liye kauDi nahin jin ke KHazane mein

jo arzan hai to hai un ki mata-e-abru warna
zara si chiz bhi behad giran hai is zamane mein

jafa-o-zulm nasab-ul-ain hoga jis hukumat ka
yaqinan KHak ho jaegi wo thoDe zamane mein

wo ek roTi jo hum ko barhaman mushkil se deta hai
hazaron but hua karte hain us ke dane dane mein