nai ghazal ka nai fikr-o-agagi ka waraq
zamana khol raha hai suKHanwari ka waraq
mohabbaton ke hasin bab se zara aage
kitab-e-zist mein milta hai gumrahi ka waraq
sunahri saaten mansub hain tere gham se
palaT ke dekh zara meri zindagi ka waraq
kitab waqt ki aandhi mein khul gai shayad
hawa mein uD gaya derina dosti ka waraq
tilawaton mein hain masruf tairan-e-sahar
ufuq ne khola hai kirnon ki raushni ka waraq
mile hain aaj suKHan mere sab KHaton ke jawab
jo mere hath laga us ki Diary ka waraq
Ghazal
Nai ghazal ka nai fikr-o-agagi ka waraq
Abdul Wahab Sukhan