nai bazm-e-aish-o-nashat mein ye maraz suna hai ki aam hai
kisi lomDi ko malaria kisi meinDki ko zukaam hai
ye ajib saqi-e-mah-wash tere mai-kade ka nizam hai
hua jaise tu bhi diwaliya na to KHum na mai hai na jam hai
yahan zikr-e-ab-o-taam kya yahan khana pina haram hai
yahan bart rakhte hain roz sab yahan roz mah-e-siyam hai
na to muttafiq kisi amr mein na to muttahid kisi kaam mein
mere leaderon ka dimagh hai ki himaqaton ka godam hai
abhi hai gharibon ki chashm tar abhi un ke haal pe ek nazar
abe inqalab Thahar zara abhi tujh se aur bhi kaam hai
main suna chuka hun hazar bar unhen dard-o-yas ki dastan
na yaqin ho to wo puchh len ki gawah telegram hai
abhi us ko jism to dhakne do abhi us ko peT to bharne do
abhi us ko fikr-e-awam kya abhi nanga bhuka nizam hai
wahi KHadimana rawish rahe ye KHayal-e-rahbari chhoD do
ise pi sakoge na dost tum ye bahut hi gaDha qawam hai
tujhe apne aur parae ka nahin kuchh shuur abhi talak
mere jaan-nisaron ki lisT mein zara dekh tera bhi nam hai
bhala 'shauq' un se dabenge kya bhala 'shauq' un se Darenge kya
bhala 'shauq' dar se uThenge kya ye KHayal dost ka KHam hai

Ghazal
Nai bazm-e-aish-o-nashat mein ye maraz suna hai ki aam hai
Shauq Bahraichi