اردو हिंदी
Nai barish ki rim-jhim mein libas-e-gham to badlega | Shaahi Shayari
nai barish ki rim-jhim mein libas-e-gham to badlega

Ghazal

Nai barish ki rim-jhim mein libas-e-gham to badlega

Mazhar Imam

;

nai barish ki rim-jhim mein libas-e-gham to badlega
wahi rasm-e-chaman hogi magar mausam to badlega

wo qahr-e-shah-KHawar ho ki zahr-e-baad-e-sarsar ho
kisi surat mizaj-e-nazuk-e-shabnam to badlega

masihaon ne kuchh taza dawaen la ke rakkhi hain
nae zaKHm aaenge ab bhi magar marham to badlega

kafan resham ke maqtulon ko ab pahnae jaenge
azadaron ka tarz-e-girya-o-matam to badlega

nai saqi-gari ka jashn-e-fayyazi mubarak ho
wahi honge ayagh-o-jam lekin sam to badlega

nai nawak-zani hogi magar itna bhi kiya kam hai
ki jis aalam mein hum rahte hain wo aalam to badlega