nahin zarur ki takmil-e-muddaa dekhen
magar hai ji mein ki KHun-e-jigar baha dekhen
nuqush-e-pa jo hue ja rahe hain gard unhen
thakawaton se sharabor log kya dekhen
ye kya safar hai ki sidhe-sapaT raste hain
kabhi to hum koi pur-pech rasta dekhen
fasil-e-shab se udhar de raha ho koi sada
hisar-e-KHwab mein lekin mujhe ghira dekhen
faza mein tair rahe hon hare-bhare chehre
KHud apne chehre ko lekin bujha hua dekhen
safar mein shal hue jate hun dhup ke panw
ufuq ki aankh se bahti hui hina dekhen
tulu-e-mahr se pahle bas ek pal ke liye
kisi diye ki tarah hum bhi jhilmila dekhen
ye din bhi 'KHalid'-e-shiraaz dekhne the hamein
nazar uThaen to patjhaD ka silsila dekhen

Ghazal
Nahin zarur ki takmil-e-muddaa dekhen
Khalid Shirazi