nahin zamane mein hasil kahin Thikana mujhe
kahan kahan liye phirta hai aab-o-dana mujhe
wo dekhte hain ba-andaz-e-mujrimana mujhe
ki jin se pyar hai ai dost walihana mujhe
jhulasti dhup mein ai kash aisa waqt aae
nasib ho teri palkon ka aashiyana mujhe
kabhi raha na gharibon se wasta jis ko
wo dega kya meri mehnat ka mehnatana mujhe
bala se jurm ho insaf ki nigahon mein
tumhaari baat to lagti hai munsifana mujhe
talash-e-rizq mein aae na jis mein kotahi
ilahi de wahi parwaz-e-tairana mujhe
main sada-lauhi pe apni hun mutmain yaro
KHuda ke waste samjhe na koi dana mujhe
meri hayat ki ye bhi ajib uljhan hai
bhulana tujh ko kabhi bhi laga rawa na mujhe
kitab di thi sadaqat ki man ne hathon mein
safar pe pahle-pahal jab kiya rawana mujhe
KHuda ka shukr hai ai 'shauq' ab bhi zinda hun
sata raha hai zamane se ye zamana mujhe
Ghazal
Nahin zamane mein hasil kahin Thikana mujhe
Shauq Jalandhari